Must Read
Ek dafa Moulana Jalaluddin Rumi Tabrezi Najamuddin Sanai Diwan ke pass kisi kaamm se gaye, Toh nouker ne kaha ke Qazi shab Namaz oarh rahe hai, Toh Moulana Rumi ne pucha,'Kya Qaza sahab ko Namaz parhni aati hai..? Jab qazi sahab ne baat suni toh Moulana Rumi se pucha,'Ke kaisi baat kahi apne..
Toh Moulana Rumi ne faramayea ke main yeh baat isliye keh raha hu ke,"Fakeer or Aalim" ki namaz main fark hota hai, Aalim us waqt tak namaz nhi parhta jab tak wo bait'ullah ki simt(taraf) ka tayun na karle,Agar maulm na ho sake toh dil me tahri karta hai, Phir dil jis taraf gawahi de us taraf namaz ada kar letta hai, Aur Fakeer us waqt tak namaz ada nhi karta jab tak arsh ko barabar apni akhon se na dekhle, Phir Moulana Rumi qazi sahab ke pass se uth kar challe gye, Raat ko qazi sahab ne khwab main Moulana Rumi ko dekha ke woh arsh pe musala bichaye namaz adda kar rahe hai, Qazi sahab ka jab khwab khula toh woh faouran Moulana Rumi ke pass gye aur kaha ki app mujhe is mamle ke ware main samjhayie..
Moulana Rumi ne faramayea ke qazi sahab yeh to apne dekha ki main arsh par musalla bichaye namaz parh raha hu yeh to fakeeron kar darja hai, Fakeer to is se v aggye "Sattar-Hazar"(70,000) mukhamat tai kar letta hai woh apni pancho namaz arsh ke sath adda karta hai aur jab waha se lott ta hai toh apne apko 'baitullah' main dekhta hai, Aur jab waha se lott ta hai toh puri kainat ko apni panch unglyea ke darmeyan dekhta hai, Aur Fakeer is se v aggye "Sattar-Hazar" muqam tai kar letta hai toh fir fakeer ka maqam "Makaa" se nikal kar "La'M!akaa" main hota hai aur is par sirf Allah Paak ke siwa koi v waqif e haal nhi hota......!
Comments
Post a Comment